Zamane Me Agar Dekhi Lyrics - Ghulam Mustafa Qadri | Manqabat Lyrics | Lyrics Of Naat-e-Pak

Manqabat Name - Zamane Me Agar Dekhi To Shane Qadri Dekhi / Dayare Gaus Kya Dekha
NaatKhwah - Ghulam Mustafa Qadri
Writer - Maulana Jameel ur Rahman Khalifa-e-AlaHazarat

Zamane Me Agar Dekhi To Shan-e-Qadri Dekhi
Nabbuwat Ke Gulistan Me Wilayat Ki Kali Dekhi
Haqeeqat Khul Gayi Jab Sar Zameen Bagdad Ki Dekhi
Dayaar-e-Gaus Kya Dekha Madine Ki Gali Dekhi(x4)

Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........
Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........
Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........

Khuda Ke Fazl Se Hampar Hai Saaya Gaus-e-Azam Ka
Hame Dono Jahan Me Hai Sahaara Gaus-e-Azam Ka
Hamari Laaj Kiske Hath Hai Bagdad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kiska ? Gaus-e-Azam Ka

Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........
Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........

Mukhalif Kya Karen Mera Ke Behad Hai Karam Mujh Par
Khuda Ka, Rahmatalil Aalamin Ka, Gaus-e-Azam Ka(x3)

Ya Gaus Al Madad........Ya Gaus Al Madad........
Pirane Pir Al Madad........Roshan Zameer Al Madad.......

Kabhi Kadmon Se Liptunga, Kabhi Daaman Pe Machlunga(x3)
Bata Dunga Ke Yu Chhutta Hai Banda Gaus-e-Azam Ka

Azizon Kar Chuko Taiyyar Jab Mere Janaje Ko
To Likh Dena Kafan Par Naame Wala Gaus-e-Azam Ka
Lahad Me Jab Firishtein Mujhse Pucchenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Naam Leva Gaus-e-Azam Ka

Firishton Rokte Kyun Ho Mujhe Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Hath Me Daaman Hai Kiska ? Gaus-e-Azam Ka(x3)

Nida Dega Munadi Hashr Me Yu Qadriyon Ko
Kahan Hai Qadri Karle Nazaara Gaus-e-Azam Ka

Jameel-e-Qadri Sou Jaan Se Qurban Murshid Par
Banaya Jisne Mujh Jaise Ko Banda Gaus-e-Azam Ka

By Ghuma Mustafa Qadri

-If You Notice Any Mistake Please Late Us Know

Video Naat Of Above Lyrics 👇











Post a Comment

0 Comments