Bade Latif Hai Naazook Se Ghar Me Rehte Hai Lyrics | Kalaame Akhtar Full Lyrics | By Mohammad Ali Soharwardi

Bade Latif Hai Naazook Se Ghar Me Rehte Hai Lyrics | Kalaame Akhtar Full Lyrics | By Mohammad Ali Soharwardi


Bade Latif Hai Naazook se Ghar me Rehte Hai
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

Hamare Dil me Hamare Jigar me Rehte Hai,
Unhika Ghar hai Ye Apne hi Ghar Me Rehte Hai.

Bade Latif Hai Naazook se Ghar me Rehte Hai
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

Maqam Unka Na Farsh-e-Zami Na Arsh-e-Baree,
Voh Apne Chahnewalo Ke Dil Me Rehte Hai

Khuda Ke Noor Ko Apni Tarah Samajhte Hai,
Yeh Kon Log Hai, Kiske Asar Me Rehte Hai.

Yaqeenwale Kahan se Chale Kahan Pohche,
Jo Ahl-e-Shak Hai Agar me Magar Me Rehte Hai.

Ye Vaqiaa Hai Libas-e-Bashar bhi Dhoka Hai,
Ye Moaziza Hai Libas-e-Bashar Me Rehte Hai.

Voh Aur hi Tha Jo Koshain Par Nazar Aaya,
Malaq to Apni Had-o-Baal-o-par me Rehte Hai.

Nabi ki Yaad Yun "Akhtar" Jo Subh-o-Sham Karen,
Kahi bhi Rehte Hai Unke Nagar Me Rehte Hai.

Bade Latif Hai Naazook se Ghar me Rehte Hai
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

-If You Notice Any Mistake Please Late Us Know


Video Naat Of Above Lyrics 👇

Post a Comment

2 Comments

  1. Kalame hujur shaykhul islam wal MUSLEMIN saiyed Muhammad madni miya ashrafiul jilani AKHTAR kichhuchhvi

    ReplyDelete

If You Notice Any Mistake Please Let Us Know...