Naat Sarkar Ki Padhta Hu Main Lyrics - Milad Raza Qadri
Naat-e-sarkar ki padhta hoon mein
Bus isi baat se ghar main mere rehmat hogi
Ik tera naam waseela hey mera
Ranj-o-gham main bhi isi naam se raahat hogi
Yeh suna hai ke bohat gaur andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna aye dil
Wahan sarkar ke chehray ki ziyarat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main mere rehmat hogi
Kabhi yaseen kabhi tauha kabhi vallail aaya
Jis ki kasmein mera Rab khata hai
Kitni dilkash mere mehboob ki surat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat se ghar me mere rehmat hogi
Hash'r ka din bhi ajab dekhnay wala hoga
Zulf lehra ke woh jab aayenge
Phir qayamat pe bhi khud ek qayamat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat se ghar main mere rehmat hogi
Un ko mukhtar banaya hai mere Allah ne
Khuld main bas wohi jaa sakta hai
Jisko Hasnain kay nana ki ijazat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main mere rehmat hogi
Do jahan main usay phir koun panah main le ga
Hoga ruswa wo sar-e-hashr jisay
Syeda Zahra ke bachoon say adawat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat se ghar main mere rehmat hogi
Unki chokhat pay pare hain to bari mauj main hain
Laut kay aayenge jab us dar se
Mere dil tu hi bata kiya teri halat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat se ghar main mere rehmat hogi
Rushk se dur kharey dekhtay honge Zahid
Jab sar e hashr gunahgaroon par
Mere aaqa ka karam hoga inayat hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main mere rehmat hogi
Mera daman to gunahoon se bhara hai Altaf
Ik sahara hai kay hum teray hain
Isi nisbat say sar e hashar shafa’at hogi
Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main mere rehmat hogi
0 Comments
If You Notice Any Mistake Please Let Us Know...